Mazar E Fatima Noha Lyrics – Nadeem Sarwar | 2021

Category

- Advertisement -

Mazar E Fatima Noha Lyrics – 2021

Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Haye,


Dekho Mazar E Fatima kitna udaas hai

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra
Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Dekho Mazar E Fatima kitna udaas hai
Bus ek Nishan e Sang hi Turbat ke paas hai
Mehroom choomne sey bhi har haq Shanaas hai
Bol aye zamane dega bhala kya Jawaab tu
Mehshar mein Mustafa ke jab Aayega Ru baru

Ya Mazlooma Ya Masooma Ya Zahra
Ya Mazlooma Ya Masooma Ya Zahra
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Dekho Mazar E Fatima kitna udaas hai

Allah rey Yeh Fatima Zahra ki Bekasi
Ek shamma bhi jalane ko Aata Nahi koi
Tanha hai Ek goshe mein beti Rasool ki
Charo taraf madine mein phaili hai Roshni
Toote huey mazaar sey Lipti hai Bekasi

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra
Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Bol aye zamane kya tere Daman mein kuch na Tha
Zahra ney har Namaz mein di hai Tujhe Dua
Tu ek tooti Qabr hi Zahra ko de Saka
jab dekhte hai Ujdi hui qabr e Sayyeda
Lagta hai jaise dhoop mein Baithi hai Fatima

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra
Ya Mazluma Ya masuma Ya Zahra
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Zahra wohi ke jiske pisar hai Hasan Hussain
Zahra wohi ke jiske hai shauhar shah e Hunain
Zahra wohi ke jo dil e Payghambari ka Chain
Aisa Luta ye chayn ke ghar baar Lut gaya
Ek dil tha Fatima ka jo Sao baar kat gaya

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra
Ya Mazluma Ya masuma Ya Zahra
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Pehlu mein aapke hai Hassan, Zainul Aabideen
Baqir bhi, Aur Jafar e Sadiq bhi hai Yahi
Haye kisi ki Qabr Salamat bhi ab Nahi
Mehshar mein apna dard Sunayegi Fatima
Ummat ney jo kiya hai Bataengi Fatima

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra
Ya Mazluma Ya masuma Ya Zahra
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Ghurbat Rasool zaadi ki padhti hai Marsiya
Hasrat se takta rehta hai Roza Rasool ka
Aankho’n mein Ashk cheekhte hai wa Mohammada
Farsh e azaa bichane ko aajaiye Imaam
Zahra ka gham manane ko aajaiye Imaam

Ya Mazluma Ya masuma Ya Zahra
Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Dekho Mazar E Fatima kitna udaas hai

Bibi Tumhare Laal ke gham khwaar Aaye hain
jaane kaha’n kaha’n se Azadaar Aaye hain
Nauha sunane Aapke Zawwaar Aaye hain
Yeh Aarzu thi aankho’n se matti Lagaenge
Socha na tha ke fateha padhne na Payenge

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra
Ya Mazluma Ya masuma Ya Zahra
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Dekho Mazar E Fatima kitna udaas hai

Zawwar chup hai saara Baqaiyya udaas hai
karbobala khamosh Madina udaas hai
Har Ek Nabi ka chahney wala udaas hai
Bibi ko Qabr mein bhi sukoo’n hai na chain hai
Hai pasliyo’n pe haath zabaa’n par Hussain hai

Ya Mazluma Ya masuma Ya Zahra
Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra

Mazar E Fatima Noha | Nadeem Sarwar | 2021

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Nadeem Sarwar

Recent posts

Recent comments