
Aey Neher E Alqama Noha Lyrics – 2022
Haay e
Aey Nehar E Alqama, Aey Nehar E Alqama
Aaj Bhi Iss Bekasi Par Ro Rahi Hai Karbala
Aaj Bhi Iss Bekasi Par Ro Rahi Hai Karbala
Alqama Behti Rahi aur Qafila Pyasa Raha
Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama
Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama
Aey Neher E Alqama
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama
Aye Nehar-e-Alqama Tera Mehman Tha Hussain
Kyun Tere Pas Reh Ke Bhi, Uss Ko Mila Na Chain
Uss Ko Mila Na Chain
Tujh Se Hai Yeh Gila
Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama
Aey Neher E Alqama
Khaimay They Ahl-e-Bait Ke Kitne Tere Qareeb
Pyasay Hi Tere Samne, Woh Mar Gaye Ghareeb
Woh Mar Gaye Ghareeb
Roti Thi Karbala, Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama
Aey Neher E Alqama
Mashkeza Jis Ke Hath Mein Tha Doosh Par Alam
Sahil Pe Tere Aaye They, Abbas Ke Qadam
Abbas Ke Qadam, Rutba Tujhe Mila,
Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama
Aye Nehar-e-Alqama
Sokhi Pari Thi Mashk-e-Sakina Tarai Mein
Do Bond Pani Kya Na Tha, Sari Khudai Mein
Haye Tu Ne Yeh Kya Kiya
Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama
Aey Neher E Alqama
Ik Bekasi Si Ahl-e-Haram Par Tamam Thi
Kitni Udas Sham-e-Ghareebaan Ki Sham Thi
Aye Wa Musibata Aye Nehar-e-Alqama
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama, Aye Nehar-e-Alqama
Aey Neher E Alqama
Nohon Mein Hain Jo Tazkira-e-Alqama HiLAL
Charon Taraf Hai Aaj Bhi Ik Matam-e-Malal
Jari Hai Yeh Azza Aye Nehar-e-Alqama
Pyasa Tha Tere Samne Kunba Rasool Ka
Aye Nehar-e-Alqama
Aye Nehar-e-Alqama