
Abbas Ka Nara Noha Lyrics – 2021
Ek shor hai..
Abbas hai abbas. Abbas hai abbas
Ek shor hai
Abbas hai abbas, Abbas hai abbas
Dariya pe jo pohcha asadullah ka Pyara
Abbas hai abbas, Abbas hai abbas
Dariya pe jo pohcha asadullah ka pyara
Lalkar ke phir fauj ko ghazi ye pukara
tum sab yehi kehte they ke dariya hai Humara
Ab dekho ke dariya hai humara keh Tumhara
Lo cheenlo yeh Hum hai yeh Qabza hai Hamara
Dariya hai Humara, Dariya hai Humara
Dariya hai Humara, Dariya hai Humara
Abbas ka Nara hai
Alamdar ka Nara
Dariya hai humara, Dariya hai humara
Lo cheenlo yeh Hum hai yeh Qabza hai Hamara
Dariya hai Humara, Dariya hai Humara
Alamdar, alamdar
Abbas-e-alamdar, alamdar, Alamdar
Main haider e Karrar ke Saaye mein pala hoon
Main Fatima Zahra ki Duaon ka sila hoon
Abbas mera Naam Alamdar e wafa hoon
yeh Naam o Nasab hai meri Qismat ka Sitara
Dariya hai humara, Dariya hai humara
Lo cheenlo yeh hum hain ye qabza hai Hamara
Dariya hai humara, Dariya hai humara
Abbas ka Nara hai
alamdar ka nara
Dariya hai humara, Dariya hai humara
Aaqa ki duao ka karam saath hai Mere
Dekho Bani Haashim ka hasham saath hai Mere
Rutba hai alamdar Alam saath hai Mere
Lehrake farera bhi yeh karta hai ishara
Dariya hai humara, Dariya hai humara
Abbas ka nara hai alamdar ka nara
Dariya hai humara, Dariya hai humara
Abbas e alamdar, alamdar, Alamdar
Abbas e alamdar, alamdar, Alamdar
Sahil pey jo yeh fauj ke daste hai Tumhare
Ek Aan mein paywand e zamee’n ho abhi Saare
Dariya ulat aaye abhi Qadmo’n mein Humare
Ek hashar bapa kardu main kardu jo ishara
dariya hai humara, dariya hai humara
Lo cheenlo ye hum hai yeh qabza hai hamara
dariya hai humara, dariya hai humara
Abbas ka Nara hai
alamdar ka Nara
dariya hai humara, dariya hai humara
Khat bhej ke Tumne jinhe yasrab sey Bulaya
Mehman they Lekin unhe dariya se Hataya
Pyaase hi rahey woh unhein paani Na Pilaya
Allah ney jinke Liye kausar ko Utara
Dariya hai humara, Dariya hai humara
Abbas ka nara hai alamdar ka Nara
dariya hai humara, dariya hai hmara
Abbas e alamdar, alamdar, Alamdar
Abbas e alamdar, alamdar, Alamdar
Yeh Hukm hai Aaka ka na Talwar uthana
Warna meri Zarbo sey Larazta ye zamana
ye fauj e jafakaar ye zalim ka Thikana
Ek Naize se naqsha hi badal jayega Saara
dariya hai humara, dariya hai hmara
Lo cheenlo ye hum hain ye Kabza hai Hamara
Dariya hai humara, dariya hai hamara
Abbas ka nara hai Alamdar ka Nara
Darya hai humara, darya hai humara
Kiya fauj ki tadaad batate ho Humein Tum
Hum dekhe ke kis tarha hatate ho humein Tum
kis Haakim o jabir se darate ho humein Tum
Ab naam na Lena kisi hakim ka dobara
Darya hai humara, darya hai humara
Abbas ka Nara hai alamdar ka Nara
Darya hai humara, darya hai humara
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar
Pyaasa hoon magar sunlein Sabhi Dushman e jaani
Paani mujhe peena nahi Lejana hai Paani
Haye mere Masoomo ki wo Tishna Dahani
Hai Mashk e sakina unhi pyaaso ka Sahara
Darya hai humara, Darya hai Hamara
Lo cheenlo yeh Hum hai yeh Kabza hai Hamara
Dariya hai humara, Darya hai humara
Abbas ka Nara hai
alamdar ka Nara
Dariya hai humara, Darya hai humara
Tareekh ne dekha na Hilal Aisa Wafadar
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar
Abbas e alamdar, alamdar, alamdar
Tareekh ne dekha na hilal Aisa Wafadar
Ab bhi hai Tarayi ki zamee’n par wo Dilafgar
Woh dekh zara roza e abbas e Alamdar
Ek zinda Gawahi hai yeh Marqad ka Nazara
Dariya hai humara, Dariya hai humara
Abbas ka Nara hai Alamdar ka Nara
dariya hai humara, dariya hai humara
Lo cheenlo yeh Hum hain yeh Kabza hai Hamara
Dariya hai humara, Dariya hai humara
Ek shor hai
Dariya hai humara
Ek shor hai, Dariya hai Humara